اردو हिंदी
Saf hum tum se aaj kitne hain | Shaahi Shayari
saf hum tum se aaj kitne hain

Ghazal

Saf hum tum se aaj kitne hain

Mirza Asman Jah Anjum

;

saf hum tum se aaj kitne hain
sab tumhein bad-mizaj kahte hain

tere bimar-e-gham ko hai wo maraz
hukama la-ilaj kahte hain

meri dhaDkan se wo bhi na bechain
han ise iKHtilaj kahte hain

kya anasir mein hai tari qudrat
bas ise imtizaj kahte hain

hai shahadat ki aarzu qatil
dil ki hum ehtiyaj kahte hain

dagh-e-sauda ne sarfaraaz kiya
hum ise apna taj kahte hain

KHub paida kiya hai nam 'anjum'
log aashiq-mizaj kahte hain