اردو हिंदी
Sae phail gae kheton par kaisa mausam hone laga | Shaahi Shayari
sae phail gae kheton par kaisa mausam hone laga

Ghazal

Sae phail gae kheton par kaisa mausam hone laga

Abdul Hamid

;

sae phail gae kheton par kaisa mausam hone laga
dil mein jo Thahrao tha ek dam darham-barham hone laga

pardesi ka wapas aana jhuTi KHabar hi nikli na
buDhi man ki aankh ka tara phir se maddham hone laga

bachpan yaad ke rang-mahal mein kaise kaise phul khile
Dhol baje aur aansu Tapke kahin moharram hone laga

Dhor Dangar aur pankh pakheru hazrat-e-insan kaTh kabaD
ek sailab mein bahte bahte sab ka sangam hone laga

sab se yaqin uThaya hum ne dost paDosi din tariKH
id-milan ko ghar se nikle shor-e-matam hone laga