اردو हिंदी
Sae mein aablon ki jalan aur baDh gai | Shaahi Shayari
sae mein aablon ki jalan aur baDh gai

Ghazal

Sae mein aablon ki jalan aur baDh gai

Ejaz Rahmani

;

sae mein aablon ki jalan aur baDh gai
thak kar jo baiThe hum to thakan aur baDh gai

kal is qadar tha habs hamare makan mein
sanki hawa zara to ghuTan aur baDh gai

kanTon ki guftugu se KHalish dil mein kam na thi
phulon ke tazkire se chubhan aur baDh gai

ye baghban hamare lahu ka kamal hai
nairangi-e-bahaar-e-chaman aur baDh gai

ye hijr ki hai aag mizaj us ka aur hai
ashkon se shoalagi-e-badan aur baDh gai

sairab kar saka na use mera KHun bhi
kuchh tishnagi-e-dar-o-rasan aur baDh gai

harf-e-sipas pesh kiya jab bhi wo mila
lekin jabin pe us ki shikan aur baDh gai

tahrir ki jo ek ghazal us ke nam par
'ejaz' aabru-e-suKHan aur baDh gai