اردو हिंदी
Sae ki ummid thi tarikiyan phaila gaya | Shaahi Shayari
sae ki ummid thi tarikiyan phaila gaya

Ghazal

Sae ki ummid thi tarikiyan phaila gaya

Mohsin Ehsan

;

sae ki ummid thi tarikiyan phaila gaya
jo shajar phuTa zamin se bij hi ko kha gaya

kya gila tujh se ki gulshan ka muqaddar hai yahi
abr ghir kar jab bhi aaya aag hi barsa gaya

ab kinaron se na mange qatre qatre ka hisab
kyun samundar ki taraf bahta hua dariya gaya

meri sairabi bhi meri tishnagi se kam na thi
main misal-e-abr aaya surat-e-sahra gaya

husn ke hamrah chalta tha julusi-e-tishnagan
ishq tanha dahr mein aaya tha aur tanha gaya

'mohsin'-ehsan kisi baadal ka TukDa hai ki jo
ek lamhe ke liye aaya ghira barsa gaya