sae ki tarah koi mere sath laga tha
kya ghar ki tarah dasht bhi aaseb-zada tha
pursish ko na tha koi to tanha tha bahut main
mahrum jo tha sab se KHafa rahne laga tha
har dam nae ehsas ka tufan tha dil mein
kya jaaniye main kaun si miTTi se bana tha
kya kya na pareshani-e-KHatir se guzar aae
kya kya na paDe ranj ki dekha na suna tha
nale ko usi dil mein utar jaane ki hasrat
aur nai ko usi bhulne wale ka gila tha
aashuftagi-e-sar ki jo tohmat hai ghalat hai
main apni hi KHushbu se pareshan phira tha
ye kaun dil-o-jaan se ham-ahang hua hai
is darja to mahsus KHuda bhi na hua tha
Ghazal
Sae ki tarah koi mere sath laga tha
Asif Jamal