sada hai garche lauh-e-basarat bahaal rakh
shor-e-qalam bahut hai samaat bahaal rakh
zaKHm-e-talash mein hai nihan marham-e-dalil
tu apna dil na haar mohabbat bahaal rakh
nazzara be-nazara hua hai to kya hua
hairat ki tab did ki hasrat bahaal rakh
bas mein to KHair kuchh bhi nahin hai tere magar
bachna hai yasiyat se to wahshat bahaal rakh
masti o hosh o jazb o jalal o junun o ishq
ai mere yar koi to shiddat bahaal rakh
Ghazal
Sada hai garche lauh-e-basarat bahaal rakh
Meer Ahmad Naved