saat-e-marg-e-musalsal har nafas bhaari hui
phir faza-e-jaan pe sadiyon ki thakan tari hui
KHanaman-barbaad yaaden dastaken dene lagin
jab kabhi apni taraf baDhne ki tayyari hui
us ne apne aap ko hum par munawwar kar diya
phir bhi chashm-e-shauq mein raushan na chingari hui
ab kisi ki bhi nazar uThti nahin su-e-falak
hum zamin walon ko aaKHir kaisi bimari hui
waqt ki daldal mein KHush-ahang lamhe dhans gae
yani har saat sukut-e-shab ki hai mari hui
is tarah be-kaif mausam to kabhi guzra na tha
phul hi barse na to ab ke sharar-bari hui
ab dayar-e-dil mein 'aKHtar' hu ka aalam bhi nahin
kis aziyyat-nak mausam se meri yari hui
Ghazal
Saat-e-marg-e-musalsal har nafas bhaari hui
Sultan Akhtar

