saat-e-hijran hai ab kaise jahanon mein rahun
kin ilaqon mein basun main kin makanon mein rahun
ek dasht-e-la-makan phaila hai mere har taraf
dasht se niklun to ja kar kin Thikanon mein rahun
ilm hai jo pas mere kis jagah ifsha karun
ya abad tak is KHabar ke raaz-danon mein rahun
wasl ki sham-e-siyah us se pare aabaadiyan
KHwab daim hai yahi main jin zamanon mein rahun
ye safar malum ka malum tak hai ai 'munir'
main kahan tak in hadon ke qaid-KHanon mein rahun
Ghazal
Saat-e-hijran hai ab kaise jahanon mein rahun
Muneer Niyazi