saat-e-asudgi dekhe hue arsa hua
muflisi ko mere ghar Thahre hue arsa hua
lamha-e-rahat-rasa dekhe hue arsa hua
man tere shane pe sar rakkhe hue arsa hua
hijr ki tarikiyon ka silsila hai dur tak
chandni ko chand se bichhDe hue arsa hua
zindagi be-KHwab lamhon mein simaT kar rah gai
hijr mein tere palak jhapke hue arsa hua
KHauf se sahma hua hai dil parinda aaj bhi
sar se sailab-e-alam guzre hue arsa hua
dil ko rahta hai musalsal muntashir hone ka KHauf
yani andar se mujhe TuTe hue arsa hua
karobar-e-zist mein kuchh is qadar uljha ki bas
tere bare mein bhi kuchh soche hue arsa hua
ai hujum-e-arzu ab chahta hun taKHliya
KHana-e-dil mein tujhe rahte hue arsa hua
main kahan hun kaun si manzil mein hun koi batae
mujh ko apni khoj mein nikle hue arsa hua
dushmani gum ho gai hai doston ki bhiD mein
chehra hae dushmanan dekhe hue arsa hua
ja tu apni rah le ab ai dil-e-ishrat-talab
pehlu-e-'shahbaz' mein baiThe hue arsa hua
Ghazal
Saat-e-asudgi dekhe hue arsa hua
Shahbaz Nadeem Ziai