ruThna chaho to ab hargiz manane ka nahin
dil ko mail kar liya aansu bahane ka nahin
raste dhundla gae hain raushni walo suno
wada jalne ka kiya tha TimTimane ka nahin
kashtiyan manjdhaar mein hain naKHuda naraaz hain
aasmanon se kaho bijli girane ka nahin
kab Dhalegi sham-e-gham kab KHatm hoga zulm-o-jabr
zindagi insan ki hai unwan fasane ka nahin
lo chale jate hain KHali hath duniya se 'umid'
yaad kar lena azizo bhul jaane ka nahin
Ghazal
RuThna chaho to ab hargiz manane ka nahin
Ummeed KHwaja