ruThe hain hum se dost hamare kahan kahan
TuTe hain zindagi ke sahaare kahan kahan
duniya ki bazgasht mein apni hi hai sada
aise mein koi tujh ko pukare kahan kahan
kabe mein tha sakun na kalisa mein chain tha
tujh se bichhaD ke din ye guzare kahan kahan
tu tha rag-e-gulu se ziyaada qarib-tar
DhunDh aae tujh ko did ke mare kahan kahan
tare kahin hain phul kahin hain guhar kahin
bikhre hue hain ashk hamare kahan kahan
shama bhi muztarib hai patanga bhi muztarib
pahunche hain soz-e-gham ke sharare kahan kahan
fursat mile kabhi to shab-e-gham se ponchhna
TuTe hain chashm-e-'shauq' se tare kahan kahan
Ghazal
RuThe hain humse dost hamare kahan kahan
Abdullateef Shauq