ruTha tha tujh se yani KHud apni KHushi se main
phir us ke baad jaan na ruTha kisi se main
banhon se meri wo abhi ruKHsat nahin hua
par gum hun intizar mein us ke abhi se main
dam-bhar teri hawas se nahin hai mujhe qarar
halkan ho gaya hun teri dilkashi se main
is taur se hua tha juda apni jaan se
jaise bhula sakunga use aaj hi se main
ai tarah-dar-e-ishwa-taraaz-e-dayar-e-naz
ruKHsat hua hun tere liye dil-gali se main
tu hi harim-e-jalwa hai hangam-e-rang hai
jaanan bahut udas hun apni kami se main
kuchh to hisab chahiye aaine se tujhe
lunga tera hisab meri jaan tujhi se main
Ghazal
RuTha tha tujhse yani KHud apni KHushi se main
Jaun Eliya