ruTh kar aankh ke andar se nikal jate hain
ashk bachchon ki tarah ghar se nikal jate hain
sabz peDon ko pata tak nahin chalta shayad
zard patte bhare manzar se nikal jate hain
is guzargah-e-mohabbat mein kahan aa gaya main
dost chup-chap barabar se nikal jate hain
tum tarashe hue but ho kisi mehrab ke bich
hum zawaed hain jo patthar se nikal jate hain
sahili ret mein kya aisi kashish hai ki guhar
sip mein band samundar se nikal jate hain
main tere hijr se niklunga to mar jaunga
hae wo log jo mehwar se nikal jate hain
aaKHirash subh-e-qayamat ki azan aati hai
aur hum sham ke lashkar se nikal jate hain
Ghazal
RuTh kar aankh ke andar se nikal jate hain
Tauqeer Taqi