rukhi-sukhi kha sakte the
tera sath nibha sakte the
kaT ke jaD ik-duje ki hum
kitne phul uga sakte the
hum talwar uTha nahin pae
hum aawaz uTha sakte the
ghurbat ka ehsan tha hum par
ek thaali mein kha sakte the
tum tabir KHuda se mango
hum bas KHwab dikha sakte the
hum ko rona aa jata to
hum bhi shor macha sakte the
KHwabon ne jo aag lagai
us ko ashk bujha sakte the

Ghazal
Rukhi-sukhi kha sakte the
Mohammad Mustahsan Jami