ruh tanha gai jannat ko subuk-sari se
chaar ke kandhe uTha jism giranbari se
taq taqat hai gham-e-hijr ki bimari se
baiThte uThte hain aahon ki madad-gari se
husn-e-ruKHsar baDha KHat ki numudari se
zinat-e-safha hui jadwal-e-zangari se
tu jo talwar se nahlae lahu mein mujh ko
ghusl-e-sehhat hua bhi ishq ki bimari se
aur to tark kiya sab ne shab-e-furqat mein
bekasi baz na aai meri gham-KHwari se

Ghazal
Ruh tanha gai jannat ko subuk-sari se
Nadir Lakhnavi