ruh pyasi kahan se aati hai
ye udasi kahan se aati hai
hai wo yak-sar supurdagi to bhala
bad-hawasi kahan se aati hai
wo ham-aghosh hai to phir dil mein
na-shanasi kahan se aati hai
ek zindan-e-be-dili aur sham
ye saba si kahan se aati hai
tu hai pahlu mein phir teri KHushbu
ho ke basi kahan se aati hai
dil hai shab-soKHta siwae ummid
tu nida si kahan se aati hai
main hun tujh mein aur aas hun teri
to nirasi kahan se aati hai
Ghazal
Ruh pyasi kahan se aati hai
Jaun Eliya