ruh meri alag hai jaan alag
zat ka na-tawan makan alag
har taraf phailti hui kirnen
ek andhere ka KHandan alag
ek zarra hun aur kuchh bhi nahin
hun bahut kuchh hai ye guman alag
qaid hain aankh mein kai sapne
aur hai fikr ki uDan alag
ek taraf shor KHana-e-dil mein
aql rahti hai be-zaban alag
kar raha hai nasib ki baaten
aur tadbir par hai man alag
Dubte tairte hue qisse
aur hairat ki dastan alag

Ghazal
Ruh meri alag hai jaan alag
Naqqash Abidi