ruh mein ghor andhere ko utarne na diya
hum ne insan mein insan ko marne na diya
tere baad aisi bhi tanhai ki manzil aai
ki mera sath kisi rahguzar ne na diya
kaun tha kis ne yahan dhup ke baadal barsae
aur tere husn ki chandi ko nikharne na diya
pyas ki aag lagi bhuk ki aandhi uTThi
hum ne phir jism ka shiraaza bikharne na diya
zindagi kashmakash-e-waqt mein guzri apni
din ne jine na diya raat ne marne na diya
ashk barsae kabhi KHun bahaya hum ne
gham ka dariya kisi mausam mein utarne na diya

Ghazal
Ruh mein ghor andhere ko utarne na diya
Ram Riyaz