اردو हिंदी
Ruh ko qalib ke andar jaanna mushkil hua | Shaahi Shayari
ruh ko qalib ke andar jaanna mushkil hua

Ghazal

Ruh ko qalib ke andar jaanna mushkil hua

Abdullah Javed

;

ruh ko qalib ke andar jaanna mushkil hua
lafz mein ehsas ko pahchanna mushkil hua

le uDi patte hawa to shaKH-e-gul be-bas hui
phul par sae ki chadar tanna mushkil hua

apne KHalwat-KHana-e-dil se jo nikle to hamein
sab ke gham mein apna gham bhi jaanna mushkil hua

waqt ne jab aaina hum ko dikhaya ro paDe
apni surat aap hi pahchanna mushkil hua

is mashini-ahd mein kya zat kya irfan-e-zat
aadmi ko aadmi gardanana mushkil hua

justuju-e-lal-o-gauhar se bhi baz aae wo log
KHirman-e-KHashak jin se chhanna mushkil hua

dil na chhoTa kijiye na-qadri-e-ahbab par
aib-juyon ko hunar pahchanna mushkil hua

kya karen 'jawed' is bahrupiyon ke daur mein
gul ko gul kanTe ko kanTa manna mushkil hua