ruh ki baat sune jism ke tewar dekhe
iltija hai ki wo is aag mein jal kar dekhe
tum wo dariya ki chaDhe bhi to ghaDi bhar ke liye
main wo qatra hun jo gir ke bhi samundar dekhe
chubhta mahaul ghuTi ruh gurezan lamhe
dil ki hasrat hai kabhi un se nikal kar dekhe
ek naqshe pe zamana raha hangam-e-visal
shisha-e-jism mein sau tarah ke manzar dekhe
kaise kar le wo yaqin tujh pe fareb-e-gham-e-zat
teri rahon mein jo tashkik ke patthar dekhe
baat ho sirf haqiqat ki to sah le lekin
apne KHwabon ko bikharte koi kyunkar dekhe
hum se mat puchhiye kya nafs pe guzri 'ummid'
ek ek sans se laDte hue lashkar dekhe
Ghazal
Ruh ki baat sune jism ke tewar dekhe
Ali Abbas Ummeed