ruh ke mojazon ka zamana nahin jism hi kuchh karamat karte rahen
apne hone ka elan karte rahen apne hone ka isbaat karte rahen
barf-e-rut aa gai phir nai bastiyon se nai hijraton ne pukara hamein
lekin is bar pardes jate hue raston par nishanat karte rahen
phir koi tishna-lab tir is dasht mein hum tak aaya hai tai kar ke kitna safar
ai rag-e-jaan ki ju-e-rawan hum bhi kuchh mehman ki mudaraat karte rahen
ek hi peD par sanp aur aadmi sath rahte hain sailab utarne talak
ham-safar hai agar dushman-e-jaan to kya rah sunsan hai baat karte rahen
jaan lene ka waisa saliqa abhi lashkar-e-dushmanan mein kisi ko nahin
aao ab apne KHemon mein wapas chalen doston se mulaqat karte rahen
Ghazal
Ruh ke mojazon ka zamana nahin jism hi kuchh karamat karte rahen
Irfan Siddiqi