ruh hazir hai mere yar koi masti ho
halqa-e-raqs hai tayyar koi masti ho
mujh ko miTTi ke piyale mein pila taza sharab
jism hone laga be-kar koi masti ho
chaar samton ne tere hijr ke ghunghru bandhe
aur hum log bhi hain chaar koi masti ho
main man-o-tu ke sahifon ki tilawat karunga
be-wazu hun meri sarkar koi masti ho
koi waiz na wazifa ki koi saum-o-salat
jaan chhuTe meri ek bar koi masti ho
tere ehsas ki shiddat se bhara baiTha hun
ab na inkar na iqrar koi masti ho
be-niyazana rahega teri duniya mein faqir
KHwab-o-KHwahish nahin darkar koi masti ho

Ghazal
Ruh hazir hai mere yar koi masti ho
Nadeem Bhabha