ruh-e-ehsas hai tahi-daman
dil hai ya hasraton ka ek madfan
phailti ja rahi hai tariki
sham mahsus kar rahi hai thakan
multafit jab se hai nazar un ki
dil ko dar-pesh hai nai uljhan
meri yaadon se gul-ba-daman hai
ek zohra-jamal ka aangan
aadamiyat kahin na ho ruswa
zindagi ka badal raha hai chalan
har sitara mere muqaddar ka
un ke mathe ki ban gaya hai shikan
luT chuka hun rah-e-tamanna mein
aarzu ab to chhoD de daman
kis ko apna kahen ki ai 'nasir'
har hasin shaKHs hai wafa dushman
Ghazal
Ruh-e-ehsas hai tahi-daman
Nasir Zaidi