ruh-e-ajdad ko jhinjhoD diya bachchon ne
sare haalat ka ruKH moD diya bachchon ne
aaKHiri ek khilauna tha riwayat ka waqar
baaton baaton mein jise toD diya bachchon ne
ghar ka har shaKHs nazar aata hai but patthar ka
jab se rishton ko naya moD diya bachchon ne
zindagi aaj hai ek aise apahij ki tarah
la ke jangal mein jise chhoD diya bachchon ne
aaj ke daur ki tahzib ka patthar le kar
ek diwane ka sar phoD diya bachchon ne
zad mein aa jaenge sab shahr sabhi ganw bhi
mauj-e-dariya ko kidhar moD diya bachchon ne
sab buzurgon ke tabassum ko dikhawa kahiye
warna ye sach hai ki dil toD diya bachchon ne
Ghazal
Ruh-e-ajdad ko jhinjhoD diya bachchon ne
Kanval Ziai