ruh baKHshi hai kaam tujh lab ka
dam-e-isa hai nam tujh lab ka
husn ke KHizr ne kiya labrez
aab-e-haiwan sun jam tujh lab ka
mantiq-o-hikmat-o-maani par
mushtamil hai kalam tujh lab ka
jannat-e-husn mein kiya haq ne
hauz-e-kausar maqam tujh lab ka
rag-e-yaqut ke qalam sun likhen
KHat paristan payam tujh lab ka
sabza-o-barg-o-lala rakhte hain
shauq dil mein dawam tujh lab ka
gharq-e-shakkar hue hain kaam-o-zaban
jab liya hun main nam tujh lab ka
misl-e-yaqut KHat mein hai shagird
saghar-e-mai mudam tujh lab ka
hai 'wali' ki zaban ko lazzat-baKHsh
zikr har subh-o-sham tujh lab ka

Ghazal
Ruh baKHshi hai kaam tujh lab ka
Wali Mohammad Wali