ru-e-zamin nahin ki sar-e-asman nahin
sach puchhiye to us ke nishan hain kahan nahin
KHud hum mein aaj himmat o azm-e-jawan nahin
warna pahunch se dur kabhi aasman nahin
bas ek zat-e-haq ke siwa kaenat mein
har shai fana-pazir hai kuchh jawedan nahin
tum ne jo kuchh kaha so kaha apna apna zarf
aisa nahin ki mere dahan mein zaban nahin
dil mein hamare hasrat-o-arman ka hai hujum
kaise kahen ki hum pe koi mehrban nahin
kar arz-e-muddaa magar ai dil rahe KHayal
inkar kar diya to karega wo han nahin
'tabish' wo samne hi hai uDta hua ghubar
bas do qadam se dur hai ab karwan nahin
Ghazal
Ru-e-zamin nahin ki sar-e-asman nahin
Rohit Soni u0027Tabishu0027