اردو हिंदी
Ru bhi aks-e-ru bhi main | Shaahi Shayari
ru bhi aks-e-ru bhi main

Ghazal

Ru bhi aks-e-ru bhi main

Shaanul Haq Haqqi

;

ru bhi aks-e-ru bhi main
main bhi main hun tu bhi main

KHud se bach kar jaun kahan
hun goya har su bhi main

le kar ruKH par itne kalank
lagta hun KHush-ru bhi main

shamil-e-mai paimana bhar
pita hun aansu bhi main

sadqe main un aankhon ke
sikh gaya jadu bhi main

us ki bazm-e-naz se dur
us ke ham-pahlu bhi main

did se be-parwa ho kar
shauq se be-qabu bhi main

bair hi rakhta mujh se sanam
hota gar hindu bhi main

wae tilism-e-naqsh-e-farang
bhul gaya urdu bhi main

qael KHud bhi hun 'haqqi'
shaghil-e-illa-hu bhi main