اردو हिंदी
Ru-ba-ru sina-ba-sina pa-ba-pa aur lab-ba-lab | Shaahi Shayari
ru-ba-ru sina-ba-sina pa-ba-pa aur lab-ba-lab

Ghazal

Ru-ba-ru sina-ba-sina pa-ba-pa aur lab-ba-lab

Prem Warbartani

;

ru-ba-ru sina-ba-sina pa-ba-pa aur lab-ba-lab
nachti shab mein barahna ho gae kyun sab ke sab

KHud-kushi kar li bhare gulshan mein jis ne be-sabab
main ne sikha hai usi hamraaz se jine ka Dhab

hanste hanste ruh ki aawaz pagal ho gai
gumbadon ki KHamushi ne der tak khole na lab

pi rahe hain KHushnuma shishon mein log apna lahu
aur kya hoga anokhe rang ka jashn-e-tarab

ai mohabbat ab to lauTa de mere sajde mujhe
marte dam tak zindagi karti rahi tera adab

lash suraj ki siyah kamre mein thi laTki hui
mere ghar ka qufl khola shab ki tanhai ne jab

'prem' teri shaeri hai ya muqaddas ju-e-shir
tisha-e-taKHliq jis se dad karta hai talab