اردو हिंदी
Ru-ba-ru hain wo dekhta kya hai | Shaahi Shayari
ru-ba-ru hain wo dekhta kya hai

Ghazal

Ru-ba-ru hain wo dekhta kya hai

Yunus Ghazi

;

ru-ba-ru hain wo dekhta kya hai
haal-e-dil kah de sochta kya hai

hai wafa dil mein ya jafa kya hai
saf kahiye ki majra kya hai

un ko bhule hue zamana hua
phir ye pahlu mein dard sa kya hai

hain bhikari sabhi tere dar ke
shah kya chiz hai gada kya hai

meri ruswai-e-jahan ke siwa
teri shohrat mein aur kya kya hai

aabru dard-e-dil ki baDh jae
jab wo puchhen tumhein hua kya hai

un ki aankhon mein jhank kar dekhun
meri taqdir mein likha kya hai