اردو हिंदी
Ru-ba-ru but ke dua ki bhul ho jae to phir | Shaahi Shayari
ru-ba-ru but ke dua ki bhul ho jae to phir

Ghazal

Ru-ba-ru but ke dua ki bhul ho jae to phir

Yaqoob Tasawwur

;

ru-ba-ru but ke dua ki bhul ho jae to phir
aur phir wo hi dua maqbul ho jae to phir

main baDhaun hath jis kanTe ki jaanib shauq se
hath mein aa kar wo kanTa phul ho jae to phir

baadbanon par hawa ho mehrban aur dafatan
TukDe TukDe naw ka mastul ho jae to phir

nafraten be-zariyan bughz-o-tassub dushmani
zindagi ka bas yahi mamul ho jae to phir

qatilon ko kar diya jae bari ilzam se
wajib-e-tazir KHud maqtul ho jae to phir

lamha lamha manzilen hoti chali jaen baid
aur qismat raste ki dhul ho jae to phir

haal-e-dil apna bayan karne ki KHwahish hai magar
kuchh tawajjoh aap ki mabzul ho jae to phir