ru-ba-ru aana chhupana chhoD de 
lan-tarani ka sunana chhoD de 
jalwa-gar ho ja mere dil mein sanam 
ku-ba-ku mujh ko phirana chhoD de 
ab to musht-e-KHak baqi rah gai 
shoala-e-furqat jalana chhoD de 
ranj sahne ki nahin taqat mujhe 
ghair ki mahfil mein jaana chhoD de 
misl-e-but KHamosh ho jaunga main 
gar salasil ghul machana chhoD de 
ai saba sar-gashta main kab tak rahun 
meri miTTi ka uDana chhoD de 
tar tar ab ho gae daman mere 
panja-e-wahshat sunana chhoD de 
ruKH pe aa kar be-adab karte hain bal 
gesuon ka sar chhuDana chhoD de 
hun 'jamila' ki tarah main gham-zada 
ai falak mera satana chhoD de
        Ghazal
Ru-ba-ru aana chhupana chhoD de
Jameela Khuda Bakhsh

