rutba kuchh aashiqi mein na kam hai faqir ka
hain jis ke sab sanam wo sanam hai faqir ka
takiya ise na bhul ke kahna kabhi miyan
takiya nahin ye bagh-e-iram hai faqir ka
rahta hai phir wo phulta misl-e-sada suhag
jis gul-badan pe lutf-o-karam hai faqir ka
ghaT jaen jis ko dekh ke lakhon teri ghaTa
ai abr-e-tar wo dida-e-nam hai faqir ka
likhta hai bin tarashe hi harfon ke joD-toD
ai KHush-nawis ye wo qalam hai faqir ka
zill-e-huma bhi wan se saadat kare husul
jis sar-zamin pe naqsh-e-qadam hai faqir ka
hain zer-e-saya us ke hazaron gada-o-shah
bairaq ise na keh ye alam hai faqir ka
kyunkar likhe na faqr ke shan-o-shikoh ko
yaro 'nazir' par bhi karam hai faqir ka
Ghazal
Rutba kuchh aashiqi mein na kam hai faqir ka
Nazeer Akbarabadi