rut na badle to bhi afsurda shajar lagta hai
aur mausam ke taghayyur se bhi Dar lagta hai
dard-e-hijrat ke satae hue logon ko kahin
saya-e-dar bhi nazar aae to ghar lagta hai
ek sahil hi tha gardab-e-shanasa pahle
ab to har dil ke safine mein bhanwar lagta hai
bazm-e-shahi mein wahi log sar-afraaz hue
jin ke kandhon pe hamein mom ka sar lagta hai
kha liya hai to use dost ugalte kyun ho
aise peDon pe to aisa hi samar lagta hai
ajnabiyat ka wo aalam hai ki har aan yahan
apna ghar bhi hamein aghyar ka ghar lagta hai
shab ki sazish ne ujalon ka gala ghunT diya
zulmat-abaad sa ab nur-e-sahar lagta hai
manzil-e-saKHt se hum yun to nikal aae hain
aur jo baqi hai qayamat ka safar lagta hai
ghar bhi virana lage taza hawaon ke baghair
baad-e-KHush-rang chale dasht bhi ghar lagta hai
Ghazal
Rut na badle to bhi afsurda shajar lagta hai
Bakhsh Layalpuri