اردو हिंदी
Rut hai aisi ki dar-o-baam na sae honge | Shaahi Shayari
rut hai aisi ki dar-o-baam na sae honge

Ghazal

Rut hai aisi ki dar-o-baam na sae honge

Hasan Nizami

;

rut hai aisi ki dar-o-baam na sae honge
log palkon pe hasin KHwab sajae honge

waqt ke sath badal jate hain chehre sare
aaj apne hain yahi log parae honge

log isi wajh se pathraw kiya karte hain
aap shishe ki dukan KHub sajae honge

rah hamwar na aasan tha husul-e-manzil
hausle hum ne bahut apne ganwae honge

yunhi ehsas-e-nadamt to nahin un ko 'hasan'
apne hathon se hi ghar apna jalae honge