اردو हिंदी
Rut badle to aap badal le sab bewhaar hawa | Shaahi Shayari
rut badle to aap badal le sab bewhaar hawa

Ghazal

Rut badle to aap badal le sab bewhaar hawa

Adeeb Suhail

;

rut badle to aap badal le sab bewhaar hawa
pag pag sang rachae mausam ke anusar hawa

peD gharaunde laTh aur khambe hain KHashak saman
bhairon nach rahi hai pahne nag ka haar hawa

us ki girhen khole baDh kar koi dhyan ki lahr
man mein liye phirti hai sadiyon ke asrar hawa

is virane mein bhi khulte pag pag ram ke phul
dil se kabhi go kar bhi guzarti KHush-raftar hawa

kaun batae kab kis ki is rah mein shamat aae
sunte hain andhe ke hath ki hai talwar hawa

hum ne to is lamhe mein bhi rut ka sameTa dard
rawish rawish jab rawan-dawan thi sarsar-kar hua

yun bhi hum ne jhela hai mausam ka jabr 'suhail'
KHushbu ki kabhi lahr bani kabhi tegh ki dhaar hawa