ruswa hue zalil hue dar-ba-dar hue
haq baat lab pe aai to hum be-hunar hue
kal tak jahan mein jin ko koi puchhta na tha
is shahr-e-be-charagh mein wo mo'tabar hue
baDhne lagi hain aur zamanon ki duriyan
yun fasle to aaj bahut muKHtasar hue
dil ke makan se KHauf ke sae na chhaT sake
raste to dur dur talak be-KHatar hue
ab ke safar mein dard ke pahlu ajib hain
jo log ham-KHayal na the ham-safar hue
badla jo rang waqt ne manzar badal gae
aahan-misal log bhi zer-o-zabar hue
Ghazal
Ruswa hue zalil hue dar-ba-dar hue
Khaleel Tanveer