اردو हिंदी
Ruswa hue baghair na naz-e-butan uTha | Shaahi Shayari
ruswa hue baghair na naz-e-butan uTha

Ghazal

Ruswa hue baghair na naz-e-butan uTha

Ismail Merathi

;

ruswa hue baghair na naz-e-butan uTha
jab ho gae subuk to ye bar-e-giran uTha

mani mein kar talash maash-e-dil-o-dimagh
haiwan-sifat na lazzat-e-kaam-o-dahan uTha

gar KHanda yaad aae to sine ko chaak kar
gar ghamza yaad aae to zaKHm-e-sinan uTha

ya aankh uTha ke chashm-e-fusun-saz ko na dekh
ya umr-bhar masaib-e-daur-e-zaman uTha

us anjuman mein jaiye ab kis umid par
hum baiThne na pae ki wo bad-guman uTha

be-yaad-e-dost umr-e-girami na sarf kar
us ganj-e-shaegan ko na yun raegan uTha

wasl-o-firaq wahm sahi dil-lagi to hai
phir hum kahan jo parda-e-raaz-e-nihan uTha

parwane ki tapish ne KHuda jaane kan mein
kya kah diya ki shama ke sar se dhuan uTha