ruswa-e-ishq hai tera shaida kahen jise
ushshaq mein misal hai ruswa kahen jise
sina chaman hai ghuncha-e-dil hai shagufta-dil
teri nigah hai chaman-ara kahen jise
gham-parwarida hai dil-e-shoridgan-e-ishq
furqat ki ek raat hai duniya kahen jise
mansub kufr dair se iman haram se hai
ek rah gaya hun main ki tumhaara kahen jise
hum ghair-mo'tabar sahi aur ghair mo'tabar
kahna baja hai aap ka jaisa kahen jise

Ghazal
Ruswa-e-ishq hai tera shaida kahen jise
Sahir dehlavi