ruswa ba-qadr-e-zauq-e-tamanna nahin hun main
apne uruj par abhi pahuncha nahin hun main
nairang-e-qaid-e-hasti-e-fani na puchhiye
marta hun rose aur kabhi marta nahin hun main
tasir hi bayan mein na ho jab to kya karun
kya apna haal un ko sunata nahin hun main
jo mujh ko dekhte hain tujhe dekhte hain wo
shayad teri nigah ka parda nahin hun main
kafi hai mujh ko ek nazar iltifat-e-dil
sargarm-e-arzu-e-tamasha nahin hun main
itna KHayal-e-dost ne be-KHud bana diya
pahron ab apne hosh mein aata nahin hun main
kyun hans rahe hain meri hansi par sab ai junun
kya qabil-e-masarrat-e-duniya nahin hun main
be-kar jaanta hun fusun-e-umid ko
na-waqif-e-fareb-e-tamanna nahin hun main
mayus ho chale hain malamat-garan-e-ishq
wo waqt hai ki baat samajhta nahin hun main
jalwa ba-qadr-e-zauq ho ai barq-e-husn-e-dost
musa ka ham-KHayal hun musa nahin hun main
'shaukat' kashish zarur hai is jalwa-gah mein
mayus-e-jazb-e-zauq-e-tamasha nahin hun main
Ghazal
Ruswa ba-qadr-e-zauq-e-tamanna nahin hun main
Shaukat Thanvi