اردو हिंदी
Rumuz-e-gham se begane KHushi ka raaz kya jaanen | Shaahi Shayari
rumuz-e-gham se begane KHushi ka raaz kya jaanen

Ghazal

Rumuz-e-gham se begane KHushi ka raaz kya jaanen

Raghunath Sahai

;

rumuz-e-gham se begane KHushi ka raaz kya jaanen
qaza se Darne wale zindagi ka raaz kya jaanen

khula jin par na raaz-e-girya-e-shabnam gulistan mein
wo nadan ghuncha-o-gul ki hansi ka raaz kya jaanen

hansi aati hai hum ko hazrat-e-waiz ki baaton par
jo KHud mai-kash nahin wo mai-kashi ka raaz kya jaanen

jo ho ke rah gae gham roz-e-raushan ke ujalon mein
shab-e-gham ki bhayanak tirgi ka raaz kya jaanen

bataenge bhala kya KHizar hum ko rah manzil ki
wo KHud gum-karda-rah hain rahbari ka raaz kya jaanen

butan-e-fitna-ju se kya tawaqqoa aashnai ki
bhala ye dushman-e-jaan dosti ka raaz kya jaanen

koi aarif hi ai 'ummid' use samjhe agar samjhe
ye farzane meri diwangi ka raaz kya jaanen