rukti nahin hai gardish-e-dauran kaha na tha
uTTha karenge nit-nae tufan kaha na tha
baDhta rahega hausla-e-jabr-o-iKHtiyar
taDpa karenge zulm se insan kaha na tha
har roz honge qatl ke saman nae nae
har sham hogi sham-e-ghariban kaha na tha
jari raha jo silsila-e-zabt-e-arzu
lau de uThegi sozish-e-pinhan kaha na tha
tazlil-e-e'tibar-o-yaqin honge harf-o-saut
luTti rahegi daulat-e-iman kaha na tha
duniya se munsifi ki tawaqqo fuzul hai
baiThe rahoge hashr-ba-daman kaha na tha
Ghazal
Rukti nahin hai gardish-e-dauran kaha na tha
Muneer Ahmad Muneer Dehlvi