اردو हिंदी
Rukne ka samay guzar gaya hai | Shaahi Shayari
rukne ka samay guzar gaya hai

Ghazal

Rukne ka samay guzar gaya hai

Parveen Shakir

;

rukne ka samay guzar gaya hai
jaana tera ab Thahar gaya hai

ruKHsat ki ghaDi khaDi hai sar par
dil koi do-nim kar gaya hai

matam ki faza hai shahr-e-dil mein
mujh mein koi shaKHs mar gaya hai

bujhne ko hai phir se chashm-e-nargis
phir KHwab-e-saba bikhar gaya hai

bas ek nigah ki thi us ne
sara chehra nikhar gaya hai