rukna paDega aur bhi chalne ke nam par
girti rahegi KHalq sambhalne ke nam par
phansta gaya hun aur nikalne ki sai mein
aafat mazid aai hai Talne ke nam par
ye kya tilism hai ki ubharne ke shauq mein
aawaz dab gai hai nikalne ke nam par
dil ka shajar to aur bhi palne ki aaD mein
murjha gaya hai phulne-phalne ke nam par
wo ja chuka hai aur badan ke nawah mein
ab jam rahi hai barf pighalne ke nam par
badlega koi roz nae-pan ke shauq mein
yaksan rahega koi badalne ke nam par
mani ka sabza-gah nazar aa gaya to phir
bhaDkega lafz sher mein Dhalne ke nam par

Ghazal
Rukna paDega aur bhi chalne ke nam par
Nadeem ahmad