ruki ruki si shab-e-marg KHatm par aai
wo pau phaTi wo nai zindagi nazar aai
ye moD wo hai ki parchhaiyan bhi dengi na sath
musafiron se kaho us ki rahguzar aai
faza tabassum-e-subh-e-bahaar thi lekin
pahunch ke manzil-e-jaanan pe aankh bhar aai
kahin zaman-o-makan mein hai nam ko bhi sukun
magar ye baat mohabbat ki baat par aai
kisi ki bazm-e-tarab mein hayat baTti thi
umid-waron mein kal maut bhi nazar aai
kahan har ek se insaniyat ka bar uTha
ki ye bala bhi tere aashiqon ke sar aai
dilon mein aaj teri yaad muddaton ke baad
ba-chehra-e-mutabassim ba-chashm-e-tar aai
naya nahin hai mujhe marg-e-na-gahan ka payam
hazar rang se apni mujhe KHabar aai
faza ko jaise koi rag chirta jae
teri nigah dilon mein yunhi utar aai
zara visal ke baad aaina to dekh ai dost
tere jamal ki doshizgi nikhar aai
tera hi aks sarishk-e-gham-e-zamana mein tha
nigah mein teri taswir si utar aai
ajab nahin ki chaman-dar-chaman bane har phul
kali kali ki saba ja ke god bhar aai
shab-e-'firaq' uThe dil mein aur bhi kuchh dard
kahun ye kaise teri yaad raat-bhar aai
Ghazal
Ruki ruki si shab-e-marg KHatm par aai
Firaq Gorakhpuri