ruki ruki si shab-e-marg KHatm par aai
wo pau phaTi wo nai zindagi nazar aai
ye moD wo hai ki parchhaiyan bhi dengi na sath
musafiron se kahun us ki rahguzar aai
faza tabassum-e-subh-e-bahaar thi lekin
pahunch ke manzil-e-jaanan par aankh bhar aai
kisi ki bazm-e-tarab mein hayat baTti thi
umid-waron mein kal maut bhi nazar aai
kahan har ek se insaniyat ka bar uTha
ki ye bala bhi tere aashiqon ke sar aai
zara visal ke baad aaina to dekh ai dost
tere jamal ki doshizgi nikhar aai
tera hi aks sarishk-e-gham-e-zamana mein tha
nigah mein teri taswir si ubhar aai
shab-e-'firaq' uThe dil mein aur bhi kuchh dard
kahun ye kaise teri yaad raat-bhar aai
Ghazal
Ruki ruki si shab-e-marg KHatm par aai
Firaq Gorakhpuri