ruki hui hai abhi tak bahaar aankhon mein
shab-e-visal ka jaise KHumar aankhon mein
miTa sakegi use gard-e-mah-o-sal kahan
khinchi hui hai jo taswir-e-yar aankhon mein
bas ek shab ki masafat thi aur ab tak hai
mah o nujum ka sara ghubar aankhon mein
hazar sahib-e-raKHsh-e-saba-mizaj aae
basa hua hai wahi shah-sawar aankhon mein
wo ek tha pa kiya us ko jab tah-e-talwar
to baT gaya wahi chehra hazar aankhon mein
Ghazal
Ruki hui hai abhi tak bahaar aankhon mein
Parveen Shakir