اردو हिंदी
RuKHsat-e-nutq zabanon ko riya kya degi | Shaahi Shayari
ruKHsat-e-nutq zabanon ko riya kya degi

Ghazal

RuKHsat-e-nutq zabanon ko riya kya degi

Waheed Akhtar

;

ruKHsat-e-nutq zabanon ko riya kya degi
dars haq-goi ka ye bint-e-KHata kya degi

sajda karti hai laimon ke daron par duniya
be-niyazon ko ye be-sharm bhala kya degi

yahi hoga ki na aaegi kabhi ghar mere
mujh ko duniya-e-duni aur saza kya degi

sal-ha-sal ke tufan mein bhi dil bujh na saka
zak use sarkashi-e-mauj-e-hawa kya degi

koi mausam ho mahakte hain yahan zaKHm ke phul
mere daman ko tahi-dast saba kya degi

dil to kuchh kahta hai par sharm se uThte nahin hath
dekhna hai ki ye be-dast dua kya degi

KHwahish-e-marg hai kuchh pane ki mauhum ummid
zindagi de na saki kuchh to qaza kya degi

KHwab dekhe hain to bedar raho umr tamam
chashm-e-KHwabida ko tabir-e-sila kya degi

isi zindan mein ab kaT do umr apni 'wahid'
main na kahta tha tumhein qaid-e-wafa kya degi