ruKH zulf mein be-naqab dekha
main tira-shab aaftab dekha
mahrum hai nama-dar-e-duniya
pani se tahi habab dekha
surKHi se tere labon ki hum ne
aatish ko miyan-e-ab dekha
qasid ka sar aaya us gali se
name ka mere jawab dekha
jaana ye hum ne wafat ke baad
dekha jo jahan mein KHwab dekha
aafat ka nishana ho chuka tha
main dil ki taraf shitab dekha
ek waza nahin mizaj-e-mashuq
gah lutf o gahe itab dekha
aankhon se bahaaren guzrin kya kya
kis kis ka na main shabab dekha
kal mai-kade mein baghair saqi
aundha qadah-e-sharab dekha
kin us ne jafaen be-hisabi
ek din na kabhu hisab dekha
sine se nikal paDa na aaKHir
dil ka mere iztirab dekha
kya hogi falah baad-e-murdan
jite to sada azab dekha
aabaadi hai us ki 'mushafi' kam
aalam ke tain KHarab dekha
Ghazal
RuKH zulf mein be-naqab dekha
Mushafi Ghulam Hamdani