ruKH tumhaara ho jidhar hum bhi udhar ho jaenge
tum se bichhDenge agar to dar-ba-dar ho jaenge
zindagani ke safar mein lutf hoga tab nasib
ham-KHayal-o-ham-nawa jab ham-safar ho jaenge
aasmanon ka safar hum tai karenge ek rose
jab hamare hauslon mein baal-o-par ho jaenge
sadgi yunhi agar lade rahe to ek din
sab tumhaare apne tum se be-KHabar ho jaenge
dekhna jis din unhen maqsad samajh mein aaega
manzilon ki justuju mein rahguzar ho jaenge
paude hain urdu adab ke aab-o-dana Daliye
aane wale kal mein sae aur samar ho jaenge
saqi saghar ki zarurat hi kahan mere liye
teri aankhon ke hi pyale pur-asar ho jaenge
wo na jaenge kabhi 'mahtab' zulmat ki taraf
waqt par anjam se waqif agar ho jaenge
Ghazal
RuKH tumhaara ho jidhar hum bhi udhar ho jaenge
Bashir Mehtaab