ruKH tera mahtab ki surat
aankh jam-e-sharab ki surat
meri fikr-e-suKHan bhi rangin hai
tere husn-e-shabab ki surat
meri aankhon mein aa ke bas jao
ek rangin KHwab ki surat
mere dil par muhit ho jao
kaif-e-jam-e-sharab ki surat
mujh ko marghub hai teri aawaz
naghma-ha-e-rabab ki surat
jin ke sar mein hawa samai thi
miT gae wo habab ki surat
un ki meri misal hai 'simab'
shabnam-o-aftab ki surat

Ghazal
RuKH tera mahtab ki surat
Seemab Batalvi